Dear sir
Mere grandfather ke nam pe jitni jamin thi us sabhi jamin ka jamabandi radd ho gya hai
Jb maine karamchari se puchha to usne mujhe ek case numbr diya aur bola ki iska nakl nikalo isi ke aadhar pe radd huwa hai maine nakl nikala to us me mere grandfather ke nam se ek jamabandi chal raha tha jo jamin pe kabrishtan hai us ka jamabandi radd kiya gya hai ye diciosion hai.
To mera sawal yeh hai ki kya us aadhar pe mere grandfather ke nam ki sabhi jamino ka jamabandi radd ho sakta hai ya sirf usi khata kheshra ka
Agr sabhi jamino ka jamabandi radd ho sakta hai to use chalu karne ke liye mujhe kya krna hoga
Mere grand father ki death ho gae hai
Aur ye jamabandi 2000 me hi radd hue thi hum log chhote the aur ghar ke kisi sadasye ko malum nhi tha ab jakr ke malum huwa
Please sir mai aage kya kru mujhe rasta dikhlae
Trouble Logging in? Try following the given steps -
1. Visit your inbox to find a confirmation mail from LAWyersClubIndia.
2. Click on the confirmation link and confirm your signup