Meri shadiko 6 saal ho gaye aur mujhe 4 saal ki beti hai. Husband shadi ke 2 saal k badsehi mujhe gharwalonke behkaveme aakar mujhe mental torcher karna shuru kar diya. Kehne k liye khudka flat, gadi sari facilities lekin sathme mental torcher bohot, bina drink kiye bhi ek bewde ki tarah jor jorse ladai jhagdan karke tamashe karna. Ab meri sehan shakti khatam ho gayi hai. Kuch din pehle phirse jhagda karke mere husband ek hafte k liye mujhe aur meri betiko chodke as usual unke ghar jhagda karke chale gaye aur dhamki deke bhi k aane k bad dekhta hu. Aur jane k bad wapis aane tak ek call nahi na msg. Darr aur tension k maare halat bohot kharab hui phr bhi raat kaise bhi gujar di lekin subah bhi chakkar aane lage isliye gharwalonko bulaya aur wo mujhe ghar le gaye. Doctor k pas chk kiya to heart ki 2 surgeries batai. Mere pitaji retired hai aur khud ek heart patient phr bhi unhone mere sare initial test ka kharcha kiya aur ab operation ka 8 lakh kharcha bataya. Mere pati ko ye bat pata chalneke bad bhi wo meri fikra karneke bajay mujhse behes ki k tumne mujhe bimarika bataya kyun nahi aur ab tumhe aur test karwane honge to ghar wapis aao to main le jaunga warna sab udharahi karlo. Mera pati egose bhara aur badla nikalnewala insan hai. Use uske gharwalonke alawa aur kuch bhi najar nahi aata yaha tk ki khudki bachchi bhi nahi aur har bar gharwalonke salahse mujhe mentally torcher karta hai. Ek taraph meri physical problem aur ek tarah married life daav pe is wajah se main puri tarahse tut chuki hu. Police, court- kacheharime honewali taklifose, delayse aur logonse soone experience se womsab karneki himmat nahi to main kya karu, aurton k sath kanoon hai kehte hai but vastavme wo impliment hote nahi ya phr delay hote rehte hai. Mere pati mujhe sambhalneke liye taiyar hai lekin wo bohot shatir hai le jayenge aur sukh se bhi nahi rakhenge. Mujhe bhi apni shadi todni nahi but aise patiko realise kaise karavu. Maintainance chahti hu but jinke already aise case chalu hai unhe 2-3 saal ki taklif k bad mila aur wo bhi ekdam kam aiseme mujhe kya karna hoga. Mera pati khud ek doctor hai aur 6 figure me salary kama raha hai. Meri delivery k waqtsehi mujhme heart problem k symptoms dikh rahe the lekin mere patine dhyanahi nahi diya jiska aaj ye natija hai. Plz mujhe insaniyat k naate genuine guidance kijiye. Kuch aurtone law ka misuse kiya hai but hamare jaisi jinhe sachme taklif hai wo nyay maangne kaha jaye... Read more at: https://www.lawyersclubindia.com/