Hi to All Respected members of LCI,
Remember my wordings which is converted in an poetric way. This guide you, To win & Stand straight in front of Criminals, Who cheated you by playing with your emotions & thought's.
If you too are really innocent in your case :
Jab tak jeeyenge sar uthaakar jeeyenge, Sar kataane kaa bhi ab darr nahi.
Raahon me jitni bhi ho mushkile, Sab hans-2 kar jhel jaayenge hum.
Kabhi naa mushkilo se dare hain, Aage bhi naa kabhi darenge hum.
Dushmano ko saamne se dekar chetavani, Unko phir bhi nasht kar denge hum.
Maut kaa darr naa kabhi tha naa hi kabhi hoga, Jab tak jeeyenge sar uthakar hi jeeyenge.
Bas apni family ki security ke liye ek baar jaroor jhuk gaye they hum, Woh bhi tha family ke liye pyaar naa ki apni maut kaa darr.
Kya ek din ki PC aur 14 din ki JC se hum darr jaayenge, Yahi thi hamaare dushmano ki sabse badi galti.
Jo hume abhi tak yaad hain, hamaare dushmano ne hi hume ladne kaa kuch maksad diya.
Jail gaye toh kya hua, Yahi soch kar jeelenge hum ki jail toh Gandhiji bhi gaye the.
Woh bhi without violence lade they, Hum bhi unki tarah hi ladenge.
Jaroorat padi toh hum hi Gandhi, Aur banenge Bhagat Singh bhi hum hi.
Ab toh sar kataane ko bhi tayyar hain hum, Kyonki ab toh apni family bhi safe & secure hain.
Jo hoga dekha jaayenga, Chaahe case mein lage saal yaa phir dus saal.
Naa karenge koi compromise, Chaahe phir se jail jaana pade.
Magistrate ko bhi dikha denge, Sach kabhi jhooktaa nahi.
Ab naa laayenge aankhon mein aansu, Ab toh ladaayi bhi hans-2 kar ladenge.
Ab toh shaadi ki bhi jaldi nahi, Shaadi toh ho gayi hain hamaari Family Court se.
Bas Jeetne kaa junoon ab hamaare dil mein hain, Dekhna hain vishwass kitna ab magistrate ko hum parr hain.
Sach bolkar hum jeetenge, Jhooth bolkar woh jaroor haarenge.
Kanoon ko haathon me lekar, Kya woh humse ab jeet jaayenge.
Sach aur sabooton ke sahaare, Ab toh hum jeet hi jaayenge.
Aur woh bina sabooton ke, Sirf jhoothi gawaahi or gawaaho se jaroor haar jaayenge.
Test Match woh jeet gaye toh kya hua, Baaki match toh hum hi jeetenge.
Hoslaa kabhi mat haaron yaaron, Haar ke baad hi jeet hoti hain iss pyaar ke khel mein.
Waqt naa thama hain naa thamegaa, Aaj dukhi ho toh kal sukhi bhi hoge.
Dukh hi sukh ki kunji hain, Aur sukh ke liye hi hame aage ladnaa hain.
Jab woh tab nahi jhuke, Toh hum bhi ab kyon jhuke.
Jo kamaayi thi izzat humne itne saalon me, Unhone usko sirf paiso ke liye tabaah kar di.
Izzat toh phir bana li humne, lekin unki gayi toh kya woh bacha paayenge.
Criminal se bhi jyaada samajhkar, Media ne dikhaaya hamaara chehraa TV par.
Humne kiye they kya katal, Jo hume dikhaaya gaya iss tarah Live TV par.
Akele aaye they duniyaa mein, Akele hi chale jaayenge hum.
Rupaye paiso ke liye yeh sab kiya aapne, Ek baar kaha hota toh sab aapko de diya hota.
Itna sab hone ke baad, Ab toh ek rupiyaa bhi aapke paas nahi chhodenge hum.
Police waale toh naa aapke hain, Aur naa kabhi hamaare hain.
Police ke bal par kabhi naa kisi se panga lo, Kyonki court mein toh woh hi GADHE hain.
Sir par kafan bandh liya hain humne, Ab aapki bhi baari hain.
Toh bandh lo aap bhi sar par kafan, Bahut ho gaya jhootha pyaar ab takraar ki baari hain.
Yeh hamaara invitation samajh kar, Aa jao ab kanooni ladaayi ladne.
Aakhir mein bas yahi kehna chaahenge hum, Ki pyaar bahut karte they aap ko hum.
Pyaar naa kabhi hoga kum, Yeh phir bhi kehte rahenge hum.
Ab wahi pyaar hum aapko, Aapke ghar bhejne ke liye kar dikhayenge.
Naa chhodenge aapke Gang ko, Ladte rahenge ab aakhiri saanson tak.
Jo they hamesha dahej ke khilaaf, Unhe hi aapne dahej ke case mein fasaa diya.
Sun lo kanoon banaane waalo, Ab toh in kaanono me badlaav karo.
Jab naa rahenge iss duniya me aadmi, Toh tab kya Dahej ke kanoono kaa ghanta bajaoonge.
Aurat kare suicide after mrg, Toh dahej kaa case.
Lekin jab aadmi kare suicide after marriage, Toh it's nothing. Why ?
In dahej ke cases ki wajah se, Kitne ghar barbaad huye.
Iska bhi kabhi andaaza lagalo, Yahi soch kar inme badlaav karo.
Jo hoti hain Dahej ki real victim, Unhe kya aaj tak insaaf milaa ?
Iska bhi kabhi hisaab laga kar, In kanoono me badlaav karo.
Hume toh bas yahi samajh aaya ab tak, Jo nahi leta hain dahej usi kaa hota hain Dahej kaa agla case.
So Let's UNITE & Fight against this Legal Terrorism as a one, Destroy your culprits in every aspects irrespect of anything or fear of even Life too. Never bow down please, Do fight openly.
So that no innocent family members or an Husband will be falsely implicated with these of non-sense laws, Merely upon a non-sense statement of Bride or any fake statement of her any family members/ relatives/even padosis too.
We all have to create & such type of historical events or stories in opposite to these type of non-sense laws. That any Bride will be afraid to file any false cases over their husbands at any time.
We are not against Females, But we are here to support them too. If they are victimised of any type of such circumstances in their life, Then we all have to help them too due to a Girl is always our best friend in life in any form (Baby/ GF/ Maa/ Even in some rare cases wife too). They always inspired you a lot.
Don't allow anyone to use you aminly your wife, Make your principles to strengthen your life & follow them strictly too at any case.
Have a nice time & Bright future ahead to all of us in every aspects of Life.
Regards,
Abhinatre Gupt.
Stand to Win for JUSTICE & DIGNITY.