He baklol bhai, ye kis pachre me pad gaye aap? Jaante hain, Agar koi shath apni dushtata se baaj na aaye to hum uske sath hanuman ji wala satsang (shathsang) karta hu.
Jaante hai unka kya tarika tha?
"Muthika ek maha kapi hani, rudhir vamat dharni dhanmani."
Iske bad lankini ne kaha - "Taat mor ati punya bahuta, dekheun nayan ram kar doota."
aur fir kaha- "taat swarg apwarg sukh dhariya tula ek ang, tool na taahi sakal mili jo sukh lav satsang"
Arthat jab tak hanumaanji vinamrata se samjhaate rahe tab tak lankini ke samajh me baat nahi aayi. aur jab ghumake diya dui mukka to turant samjh gayi aur kahi - saheb satsang me to sabse bada sukh hai.
Isliye bhaiyo, soch samajhkar mujhse panja milana.
Padha likha hun to iska yah matlab nahin ki dushto ki khurafaat bardasht karunga..