Lord Shani ji aapka jo bhi naam ho, me aapse yahi kahunga ki aap bhagwan ka naam rakhe ho to kisi ko aphabd mat kaho.
Kyunki jo naam aap ne rakha hai vo naam ko dekhne ke baad sirf Aastha aur Ishwar dikhayi dete hai aur aapke comment padne me thodi naarazgi ho rahi hai.
Kuch Bhaaiyon ne apne comment me Angrejiyat ki burai ki hai.
Me un logo se yahi kahna chahta hu ki ham sab Angreji ko galat language nahi kahna chahte hai. hum to bas ye kahna chahte hai ki Hindi Sarvasrestha language tha, hai aur rahega.
Ham is baat se dukhi hai ki ham ne aaj tak angrej ke gulamiyon ki nishaniyon ko kyun sambhal ke rakha hai.
Jo language sirf 30 crore logo dwara pure duniya me boli jati hai vo bharat ka kya Internation language bhi banne ka hakdar nahi hai.
Chinese 140 crore aur Hindi 115 crore logo dwara boli jani language ko jyada tavazzo kyun nahi di jati.
yahan tak ki English ko is Hindustan me rakhne ki kya vajah hai.
ALSO SEE THE FOLLOWING THREADS:
https://www.lawyersclubindia.com/forum/Amercan-s-ITC-company-cuts-14-Crore-tree-every-year--33289.asp
https://www.lawyersclubindia.com/forum/Article-by-respected-Dr-Abdul-Kalam-32931.asp