HELLO SIR/ MAM ,
Mere husband ki 2 policy thi jo shadi ke pehle ki thi jisme ek me mere father in law or ek me mere mother in law nominee the Mere husband ki 9/9/2011 me accident me death ho gai thi us samaye hame bone T.B. ho gai thi or ham apne mayeke me 1 months pehe se the mere ek beta bhi 2 saal ka hai bimari ka fayda utha kar mere sasur saas ne dono policy apne naam kara li thi jiska hame pata chal gaya or hamne ek jisme mere sasur naminee the 250000 ki me objection court me file kia hai jiska case chal raha hai or doosri jisme meri mother in law nominee hai 65000 ki nikali ja chuki hai
mujhe ghar se mere bete ke sath bina kuchh bhi diye bina maar kar nikal dia gaya hai jiski report police station me nahi likhi gai jise hamne court se file karaya tha jiski final report mere khilaf me aai hai ki kuchh bhi mara peet nahi hui hai jiski medical report bhi mere pass hai mere laws ki police me achhi pehchan hai jisse police se koi support nahi mil raha hai
Related case abhi tak chal raha hai abhi tak kuchh nahi hua hai , lekin abhi 20 din pehle mere father in law ki death ho gai jo nominee the tab court me bataya gaya ki agar kisi ki death ho jati hai tab case kharij kar dia jata hai , or jo bhi us amout ka varis hota hai doosra case chalta hai ,
ab ham aage kya kare kuchh samajh me nahi aa raha hai abhi sasural me meri mother in law , devar & uski wife hai ,
please help me
hame ye janna hai ki is case me mera kitna right hai agar aap ke paas koi rooling ho is case ke baare me to please aap meri madad kare
pragya