Hi All, bahut sochne ke baad main apni pareshani post kar raha hoon. Ye soch kar ki shayad aap mein se kisi ke paas iska solution mil jaye.
Meri Shaadi 25th April'12 ko hui thi, jiske 15 din baad se hi mere ghar me ashaanti ka mahoul ban gaya. Iski wajah meri wife hai. Aaj meri shaadi ko 13 Months ho gaye hain par in 13 Months me, mushkil se meri wife 5 Months mere ghar rahi hai baaki woh zyadatar apne maaike me hi rahi.
Kai baar usne aur uske gharwalo ne mujhe apne gharwalo se alag karne k liye bhi majboor ki par jab main iss baat k liye nahi maana toh chhoti chhoti baat par ghar me ladai karne lagi.
Abhi woh pregnant hai, Aur pregnancy ke first day se hi woh apne ghar chali gayi thi. Still She is at her home. Routine checkup ke liye main usse hospital le jata hoon.
Meri mummy ne ab use bulane ke liye use call kiya toh woh kehti hai ki main abhi kaam nahi kar sakti isliye baad me aaungi toh mummy ne kaha ki jab tabiyat theek ho jaye bata dena, hum bula lenge, par 1 Hafte baad hi usne humare rishtedaaro ko phone karke kaha ki koi mujhe lene nahi aa raha aur mujhe yaha sharm aa rahi hai rehne me. Uski iss baat pe jab mummy ne use phone kiya toh ulta mummy ko hi blame laga diya ki "AAP TOH YAHI CHAHTI HO KI MAIN YAHI RAHU". Dono tarah se usne sabki nazron me apne aapko sahi saabit kar diya.
Ab uska kehna hai ki main agar waha aati hoon toh koi kaam nahi karungi. Meri mummy ne kaha ki apna khana toh le kar kha logi aur apne bartan toh saaf kar dogi toh kehti hai ki main koi kaam nahi karungi agar bulana hai toh bulao warna main yahi rahungi. Aur uske gharwale bhi uska iss baat me support kar rahe hain.
Ab woh dhamki deti hai ki meri saari shartein maan kar mujhe ghar bula lo warna main Police me complaint kar dungi. In sab baaton ki wajah se main apne office me concentrate nahi kar pa raha.
Please aap koi sahi salaah batayein.
Thanks and regards,