Mere papa do bhai the, ek bhai ki death ho gayi 1983 me. Unki wife (Meri chachi) shadi ke bad kuch time tak rahi par uske bad kabhi aayi nahi. 2012 me dada ji ki death hui uske bad kheti ki jamin unke hisse me aa gayi aur unhone bech diya. ab unhone hamara ghar jis par ham by birth rahte hai uska kuch hissa kisi ko bech diya. abhi koi batwara nahi hua tha. makan ka koi bhi document kisi ke pass nahi hai aur ham vaha 40 years se rah rahe hai. please hame guide kijiye ki kya ye sahi hai aur vo is tarah paitrak makan ko bech sakti hai. Jinohne kharida hai unohne hi jamin kharidi thi .
Read more at: https://www.lawyersclubindia.com/forum/details.asp?mod_id=210837&offset=1