chiraaghoN ko bujhaana chaahti hai/havaa bhi aab-o-daana chaahti hai
ameer-e-shahar aaNkheN band karle/Gharibi muskuraana chaahti hai
Sarvesh Kumar Sharma Advocate (Advocacy) 03 July 2011
chiraaghoN ko bujhaana chaahti hai/havaa bhi aab-o-daana chaahti hai
ameer-e-shahar aaNkheN band karle/Gharibi muskuraana chaahti hai
Sarvesh Kumar Sharma Advocate (Advocacy) 03 July 2011
mere tumhaarii baat fasaana to hai nahiiN/hai bhii agar to sabko sunaanaa to hai nahiiN
tum do fareb aur maiN samjhuuN hunar usko/itnaa bhii saadgii ka zamaanaa to hai nahiiN
Sarvesh Kumar Sharma Advocate (Advocacy) 03 July 2011
jalte ghar ko dekhne vaalo phuus ka chhappar aapkaa hai
aag ke piichhe tez havaa hai, aage muqaddar aapka hai
uske qatl pe maiN bhii chup thaa mera number ab aaya
mere qatl pe aap bhii chup hai, aglaa number aapka hai
Sarvesh Kumar Sharma Advocate (Advocacy) 03 July 2011
bhalaa ghamoN se kahaaN haar jaane vaale the
ham aaNsuoN kii tarah muskuraane vaale the
hamii ne kar diyaa elaan-e-gumrahi varna
hamaare piichhe bohat log aane vaale the
Sarvesh Kumar Sharma Advocate (Advocacy) 03 July 2011
ye sher UMA jee ko ARJ HAI.............
dil meN utregi to puuchhegii junuuN kitnaa hai
nok-e-Khanjar hi bataayegii ki khuuN kitnaa hai