Hi..
Badi ajeeb condition hai
Mera nam devendra hai. meri shadi nov 2010 mein hui thi. july 2011 mein
mere papa meri wife ko uske mayke se lekar aaye the. kyoki mein private
job karta hoon aur chutti mushkil se milti h. transport ki kami se vo log
tempo/three wheelar se aa rahe the. Same day my mother apne mayke ja rahi
the(vahan pr koi pooja hoti hai aur sare jamai & betiyan aati hai) meri
sasural & mere gaon k beech me rly. station hai. station tak tempo mein
aaye aur tempo wale ne strike ke karan aage jane se mana kardiya. tab mere
papa & mummy meri wife ko apne saath legaye. do din bad vapas mere gaon
aaye. Mein office se aaya to meri wife ne mujhe khana nahi diya aur na hi
koi bat ki. Aur next day mein office chala gaya. next evening mein vapas
aaya aur na to meine khana maanga aur n hi maine apne wife se baat ki.
gaon me garmi hoti hai aur wife room mein so rahi thi to maine usse pani
manga(jisse vo garmi se baharaa jaye) pr usne na to inkaar kiya aur na hi
pani diya. meine 4-5 bar kaha. tab maine uske mayke call laga kar keha ke
apne dad se keh ki tuje vapas lejayen. agle din mera sasur kuch logn k
sath ghar par aaya aur kaafi logon ko ikttha kar liya. Sham ko mein office
se ghar lauta aur dekha ki ghar k aage kafi bheed hai. maine ander jakar
usse poocha ye kya ho raha ha to usne kaha ab mere ghar wale aa gaye hain
ab dekhna. shayad koi gadbad ho sakti hai to maine phone recording start
karke usse khana lane k liye kaha pr usne khana nahi diya. fir mein un
logon k pas gaya aur discuss me baat karne laga. phone mere paas hi tha
aur recording ho rahi thi. kuch der bad mere bhai ki call aayi aur maine
call sunke phone rakh diya aur dobara recording karna bhool gaya. bike k
numbers ko lekar kuch issu tha to mere sasur ne kaha ki jab tumhari koi
dimand nahi thi to bike k number kahin k ho koi bhi pakad nahi sakta(bike
mere naam nahi thi) kafi bakwass aur warning dene k bad vo wife ko wapas
le gaye. Ek saal tak na to mein use lene gaya aur na hi vo wapas aaye. nov
2012 me mere sister ki shadi thi aur sagai se 8 din pehle mere pass CJM
court se noitis aaya. usne 498A, 323, 504, 506 and dowry 3/4 ka case file
kar diya. Date pr hum CJM(saujhauta kendra) me gaya jahan 1st date pr
samjhauta ho gaya(Unse mere sath aane ko kaha aur as per law there is no
option for me). Jury ne hume 5 bar bulaya aur sab kuch theek tha. choti
choti nok-jhonk ghar pariwar me hoti thi uski mistakes pr maine humesa
usko samjhaya. June 2013 (laghbhag 8 mahine bad) mein meri mummy meri wife
ko khana lane ko bolkar khet par gayi, jab sham tak meri wife khana lekar
nahi pahunchi to vo vapas aayi aur usko raste me khana le jate hue paya.
fir vo dono gher(jahan Cow & Buffelo rakhte hai) par gaye aur dekha ki
khana kharab ho gaya hai aur mummy ne use daant lagayi. Do din bad mummy
ne us ghatna k bare mein mujhe bataya. us condition me bhi maine usko
samjhaya aur kaha aage se is bat ka khaya rakhna hum sabhi khane k liye hi
to kaam karte hain. to usne poocha agar aisa ho gaya to kya karoge, maine
kaha pitayi hogi, fir bhi aisa hua to kya karoge fir bahut jyada pitayi
hogi, usne fir poocha fir bhi ho gaya to.. maine kaha to jan se mar dunga.
fir vo kehti hai k jan se maar do. is condition ko batane ke liye maine
uske father(because she had loss her mother 7 year ago)ko call kiya ki aap
aao & isko kuch samjhao ki pariwar aise nahi chalta hai. Next day usne
khud ne khana nahi khaya sham ko mein jab office se ghar pahuncha to meri
mummy ne mujhe bataya ki usne poore din kuch bhi nahi khaya h aur maine
(mummy) kaafi koshish ki. fir maine bhi khana khane ko kaha pr usne khana
nahi khaya. Humne doctor ko bulaya shayad koi problem ho. par sab kuch
theek tha. to maine uske ghar par phone kiya ki koi baat to nahi hai aur
sath hi uske ghar pr ye bhi bata diya ki usne khana nahi khaya hai aur
isko samjha k khana khila do.(I recorded this call but voice is not clear)
It was tuesday. On sunday her brother & elder sister come. un dono ne bhi
usko kafi samjhaya aur sath hi uske brother ne mujhko warning di. aur sath
le jane ki jid ki. But meri mummy ne usko next week le jane ko keh diya.
On the saturday(July 6 2013) her brother apne freind k sath aaya aur usko
apne sath legaya. Evening me mein ghar pahuncha aur pata chala ki vo chali
gayi. after 4-5 days maine call kiya jo uske brother ne uthaya aur kehne
laga ki rista khatam ho gaya hai. maine dobara call kiya aur phone
recording laga kar kaha ki agar meri wife kahe ki rista khatam ho gaya to
mein fir call nahi karunga aur usne wife ko phone de diya usne muje kuch
idher-udher ki batien kehkar kaha ki tume mere liye mar gaye ho aur phone
kat diya. Fir mere mummy papa aur kuch relatives k sath usko vapas lane k
liye gaye(relativ kehte hain ki tum ladki ko pareshan karte ho) par vahan
par sabhi ki insult hui. next month(August 2013) mere bhai k ladka hua aur
maine socha ki shayad usko kuch samajh me aajaye ek bar aur koshish karta
hoon aur maine phone call ki to uske brother ne uthaya aur mujhe dhamki di
ki tuje court me dekhunga. fir humne september 3 2013 ko section 9(jaisa
lawyer ne suggest kiya kyonki humara court me kabhi koi vasta nahi pada)
file kar diya. usne previous case (498A, 323, 504, 506 and dowry 3/4) ko
follow kiya aur ek naya case (498A, 323, 504, 506 and dowry 3/4 30-
october-2013)aur kar diya. Dono cases ki details net par bhi hain. maine
sari date attend ki aur summon bheje. par vo usme hazir nahi hui aur na hi
koi jabab diya. 13 October 2014 ko maine section 9 vapas liya aur 15
october ko Divorce(section 13) file kar diya. jiski date 10 dec 2014 ko
lagi. Isme un logon ne section 24 file kar diya hai. Mere lawyer ne mujhe
court me aane se mana kar diya aur kaha ki tum isme hazir mat hona jabki
mein 10 dec 2014 ko court gaya. court me strike hone ki vajah se maine
lawyer ki baat man li. Ab mere pass kuch bhi nahi hai na to section 9. hai
aur na section 13(jaisa lawer suggest kar raha hai) kuch relatives se baat
karke samjhauta karne ki koshish ki to vo log 4 lakh rupye maan rahe hain
jo ki mere bas ki bat nahi hai.
A) Kya kannoon ki vajah se mujhe v mere mummy papa ko jail jana padega.
B) Hume ye paise dene hi honge
C) Kya lawyer hume sahi salah de raha hai
D) Kya dono cases mein mujko nirdosh sabit karna padega
E) Recordings k alawa mere pas koi aur saboot nahi hai jo mujhe nirdosh
sabit kar sake. kya recording court me accept ki jati hain.
F) Agar court mein wife mere sath aane ko kahe to kya karu(Section 9 not
press kar li hai aur 13 mein lawyer ne hazir hone se mana kiya hai)
G) Kya meri biwi bewkoof hai ya ukse gurdian usse aisa kara rahe hain(vo
12th pass hai aur private school mein padhati hai par mere pass koi saboot
nahi hai bas pata hai ki vo school mein padhati hai)
H) Kya mein section 24 mein maintenance dene se bach sakta hoon aur
divorce bhi follow kar sakta hoon
Second case pdf file attached.
Mein aur case nahi lad sakta mere pass paise nahi hain