AAdarniya Mahodaya Saadar Namaskaar Mai deoria(u.p) se hu, sir mere gaon k ghar k liye patdaaro se vivaad chal raha hai,kripya uchit kanooni salaah de,mai bahut garib background se hu aur bohot pareshaan hu, sir mere dada 2 bhai the,unke pas ek jameen the jiska batwara unhone gaon k pancho ki sahayta se aapas me baithkar kar liya tha lekin koi kaanooni likha padhi ni karwayi the,wo jameen mere dada k pita ji ki the,jameen k batwaaare k baad mere dada ji ne uspar pahle 40 year pahle kachha ghar banwa liya tha aur uss samay mere chote dada ya unke family members ne kisi prakar ki aapatti nahi darj karai the, year 1991 me pakka ghar banwa liya tab bhi kisi ne koi aapatti nahi kiya,humare pachhe ghar ka town tahsil se pass naksha hum logo k paas hai 1991 ka.kintu mere chote dada ne jinhe unke hisse ki jameen d gayi the unhone uss jameen ko chorkar,uske peeche ek aur jameen khareed li tje aur uspar ghar banwakar,pushtaini jameen ko khaali hi rahne diya uspar koi construction ni karwaya,,abb mere dada aur chote dada dono expire ho chuke hain,mere chote dada k ladke ne apni pushtaini zameen aur new khareede hui zameen dono ka computerized registration tehsil office k bhulekh record me karwa liya hai kintu hum logo ne nahi karwa paaye the.abb mere chote dada ka ladka abb se 40 year pahle huyi batwaare ko nahi maan raha hai aur hum logo k ghar me se aadha hissa maang raha hai,uski aurut jabarjasti mere ghar me ghusne ki kosis karti rahti hai,,mere pita ji k paas 38 year ka ghar k house tax ki receipt hai,aur electricity k bill aur water bill ki bhi receipt hai,,pushtaini zameen ka batwra karne waaale panch bhi jeevit nahi hai aur humra pariwar m.p. me rozi roti k liye rah raha hai,aur mere chote dada ki bahu mere ghar ka tala todne ki dhamki de rahi hai jab kabhi hum log gaon jaate hain to humare ghar me jabarjasti ghus kar gaali galoj kar k ukssne ki kosis karti hai,jisse ki kisi jhoote case me fasa saake,mere chote dada k ladke ko kamane k bahane ahmedabad bhej diya hai aur khud ki mahila hone ka fayda uthakr maar peet ki kosis karti hai,,kripya ucchit salah de ki kis prakaar se hum unlogo par kaanooni action le sakte hain,,mere dada ji ka death certificate hamare pas hai,mere dadi jeevit hain aur humare family members ka naam ration card me bhi hai.sir ek baat aur ki humari pushtaini jameeen ka khasra jiska batwaara hua tha uska khasra tahsil se nikal ni raha kyu ki purana record urdu language me hai aur iss samay koi translater ni hai tahsil me.sir kya humar apne dada k banaae ghar me poora maalikana haq hai naa??