kya will ghar bethe bana sakte hai
Querist :
Anonymous
(Querist) 27 October 2009
This query is : Resolved
kya ghar bethe will ban sakti hai. mere dada ji vakil ke pas nahi ja sakte. kya me sare document ghar par lakar unse aur kitne witness se document par signature kara sakta hun. aur ye kya legle will to mani jayegi. ek will banwane me kitna kharch aata he. mere dada ji delhi me rahte hai.
adv. rajeev ( rajoo )
(Expert) 28 October 2009
Ghar baithe will bana sakhte hai. will regd., aur unregd., rahe to be challenge kar sakte hai.
Aap ko at lease 2 wittness chahiye, aur scribe ka to important hai. Will regd., nahi hua to kharcha nahi aata, agar apko registration karyana hai to special fees dena padega, special fees diyato registrar khud aapke pass ayega aur aapka dadaji ka signature leta hai.
It can be regd., at Delhi.
Raj Kumar Makkad
(Expert) 28 October 2009
Aap ghr baithkar banwa lijiye aur registrar karyalye main prarthna patar dekar registrar ko ghar bulwa lijiye kharcha jma krakar. regstrar apne samne sabhi ke hastakshar karayega aur oosko register kar lega. is parkriya se will register ho jayegi aur vivad kafi kam ho sakenge. achha rahega gwah ek doctor ko bhi bna lain jo aapke dada ji ke swasthye ke bare main gwahi de sakega aur parmanit kar sakega ki ve mansik roop se swasth hain ya nahi.
Sachin Bhatia
(Expert) 28 October 2009
à ¤œà ¥€ à ¤¹à ¥ˆà ¤‚ à ¤˜à ¤° à ¤°à ¤¹ à ¤•à ¤° à ¤Âà ¥€ à ¤µà ¤¸à ¤¿à ¤¯à ¥‡à ¤¼à ¤¤ à ¤¬à ¤¨à ¤µà ¤¾à ¤ˆ à ¤œà ¤¾ à ¤¸à ¤•à ¤¤à ¥€ à ¤¹à ¥ˆà ¤‚!
Shashikant V. Patil
(Expert) 28 October 2009
Ghar bhaithe , umar aur Bimari ka karan batakar dast kar sakte hai.
Suhail suhail
(Expert) 28 October 2009
Mr.Raj,ney ek acha sujao diya hain,ki ek doctor ko bhi shamil karey.
niranjan
(Expert) 28 October 2009
Upar jo sabne kaha hai wo barabar hai. agar aap register karvana chahta hai to register karene wale sahab ko ghar bhi bula sakate hai.
adv. rajeev ( rajoo )
(Expert) 03 November 2009
Dr. ko wittness banana important hai, kyonki wo dadaji ke helath ke bare me bata sakte hai agar will ka challenge huwoto.
Querist :
Anonymous
(Querist) 10 November 2009
thanks