LCI Learning

Share on Facebook

Share on Twitter

Share on LinkedIn

Share on Email

Share More

can you please post some good quotes here?

Page no : 2

(Guest)

Lekin Bhaiya ek pahunche huye sant anoop jalouta ne to gaaya hai, ki;

 

 

Jal se patla ‘Gyan’ hai !.. ‘Paap’ bhoomi se bhaari !!..

 

‘Krodh’ agan se tej hai aur ‘Kalank’ Kaajal se kaari !!!...


(Guest)

Aur Sarvesh Bhaiya aap hamaari postings ki timing dekhkar soch rahe honge ki ham jyada karke aadhi raat ko kaahe likhte hain? To Bhaiya baat aisi hai ki ham thahre nishachar so jab sab mel mulaakat niptakar loute hain tab apna laptop kholkar dekhte hain ke hamen Guru-Ghantaalon ne fir se BAN kar diya ho to sone se pahle apna kamaal dikha den. Vaise ek aur baat hai ki ham thahre BADA BHAIYA ke purane fan (purana pankha naheen bhaiya), so raat ko aksar main aur meri tanhaai bhi aksar baaten karne lagte hain;

 

Aapko yaad hai na “silsila” me “BADE BHAIYA” kahat rahe;

 

Main aur meri tanhaai aksar ye baaten karte hain..

Ki tum hoteen to aisa hota..

Tum hoteen to vaisa hota..

Pata naheen kaisa kaisa hota………………..

 

Are naheen Bhaiya ! ham “Rajneeti ki Rakhee Sawant” naheen hain ki hamesha “BADE BHAIYA” ke gaane gaate firen, darasal raat ki shanti men drafting arram se aur achchhe se hoti hai bina kisi disturb ke aur kaheen jaane ki jaldi bhi naheen rahti hai so grahasthi ke kaamkaaj niptakar apne study room me ghus jaate hain bas aur kono baat naheen hai.


(Guest)
Originally posted by :Sarvesh K Sharma .0-9837271758
"
one more question yaksha forget to ask from great udhisthra

is

when mr. Ram samudre will meet to mr. sarvesh in person?
"

 

Are Bhaiya isme koun si mushkil hai? Bhaiya main to Bhoot (Devil) hoon, REMEMBER THE DEVIL AND DEVIL IS PRESENT wali baat to aapne suni hi hogi. So jab bhi hamse milne ka man kare to is site ke admin me baithe Guru-Ghantaalon se kahna ki wo hamen BAN kar den, bas wo jaise hi muze BAN karenge main turant DHAMAK padoonga.

 

Ek tho aur kahawat aapne suni hogi, wo ye; ki Pinjare ke andar baithi maina pinjare ke samne baithe Billa ko dekhkar apni aankhen band karke sochti hai ki Billa gaayab ho gaya hai. Bas bilkul isi tarah ye Guru-Ghantaal hamen BAN karke apni aankhen band karke sochte hain ki ham gaayab ho gaye hain, lekin wo jaise hi aankhen kholte hain hamen waheen dekhkar unke pinjare se tote ud jaate hain. Becharon ka daana-paani neend sab haraam ho gai hai dar ke maare ki ye bhoot aakhir bhagega to kaise kaahe ki saare ojha tantrik mantrik apna dand-kamandal lekar bhaag gaya hain trahimam-trahimam chillate.

1 Like

(Guest)

 

“Yadi Kahaani vaisi khatm naa hui ho jaisi tum chahte ho iska matlab kahaani abhi baaki hai”

Sarvesh Kumar Sharma Advocate (Advocacy)     10 May 2011

"kahaani abhi baaki hai”


Leave a reply

Your are not logged in . Please login to post replies

Click here to Login / Register