Neetu jii, bahut dukhad hua aapke saath,pad aapke saath itna torture kiya gaya fir bhi aap us insaan k saath kyon rehna chahti hai?
Dekhiye shaadi toh aap dono ko nibhani hai,ek jo hai usne haath khada kar diya,ki maino itthe nai rehna,To ki gal kar di tusi,jo nai jana..?
Dekhiye do hi rasta hai aapke haath me ya toh ladiye khud ki shaadi bachane k liye, ya khud raaste se hat zayiye aapni samay aur umar bachane k liye.
Agar wo divorce k liye file karta hai toh itni asaani se aapko divorce de nai sakta,kyonki usse aapko ek behad aatayachari,galat aacharan aur bahut saare aise aise proof dene honge jisse sach saabit karna uske lawyer aur uska kaam hoga.
pad agar aap chahein toh aap sec 9 file karke kuch had tak usse ehsas dilayein ki aap mujhe divorce mat do,main aapke saath rehna chahti hun.But iska nuksaan yeh hoga ki wo aayega hi nahin aur wo khud expartee ban jayega.So,behtar yeh hoga ki aap kuch na karein abhi,Aap aapne elders ko bhejein usse samjhane k liye aur karan puchne k liye.Aur dekhein aapse kahan galti hui hai,aur usse dur karke phir se uske pass jayein bolein ki main aapse bahut pyarr karti hoon,aur main wisa ban gayi hun jaisa aap chahte the. Fir bhi agar wo na maane toh ek kaam karna-------------4 5 aache acche desi galiyan rat k jaana aur kehna ki tujh jaise insaan k liye main aapni saari umar aise hi nai barbad karungi accha hua jo tumne aapna asli rang 2 saal me hi dhikha diya.
Fir apne ghar aana aur jitni auraton wali cases hai wo saare aapne lawyer se uske uppar karva dena,kuch mahine aapko jhelna hoga,pad uske baad wo khud aapke pass ayega compromise karne k liye. Pad aap compromise mat karna.Kyonki aapne usse gali de rakha hai aur wo aapna asli rang phir dhikayega.So,better yahi hoga ki aap aapna sara diya hua streedhan jo genuine hai wo le le,aur jo alimony aapko theek lage uski kamayi k mutabik usse mange aur ek behad dukhad doorghatna samjh ke isse bhul jayein.
aur zindagi fir se shuruat karein,zindagi me sirf bacche paida karna aur ghut ghut k zindagi jeena hi aurton ka kaam nai hai,isse aapna zindagi ka sabse anmol pal man k ziyein jisse aapko aane wale kal bharosa ho sake ki yes zindagi abhi baki hai jeene k liye.
regards,
A sufferer...