498a
Santosh kumar Sonker
(Querist) 28 December 2009
This query is : Resolved
Sir, mere dost ki shaadi 05/06/2006 ko kanpur(up)me hui thi. shaadi ke kuchh din se vivad chaalu ho gaya aaye din mayke chali jaana. jabki mere dost ke bade bhai aur bhaabhi alag rahate hai,mother kishi ke paas nahi rahati he father expired ho gaye hai, bahano ki shaadi ho gai hai koi matlab nahi rakhate hai,makan mother ka hai.wife 14/07/09 ke pahale se apane mayke kanpur me rahi. achanak 14/07/09 ko jbp aai aur bade bhai ke ghar ke kamare me ghus karke vivaad karne lagi aur tamasha karne lagi, dhamki dene lagi mera makan he bhabhi se vivaad karne lagi.ghar se chali gai aur rishtedaaro ke yaha rahi. maine dost ne 14/07/09 ko thane me aur parivaar paramarsh kendra jbp me complaint kar di, par vo parivaar kendra me jaane taiyaar nahi hui, 4-5 din tak tamasha karti rahi. bahut hi mushikil se 19/07/09 ko res.karwa kar rishedaaro ke madhayam se kanpur chali gai. mere dost ne yaha jbp me 22/07/09 ko divorce ka mukadama dayar kar diya, 23/07/09 ko notice gaya,27/07/09 regd notice refused kar di normal notice rakh lee. uske baad ultimatily family court ne 21/10/09 ko ex party divorce kar diya. Mere dost ne kanpur me rishedaaro ke madhaym se jaankaari li to pata chala hai ki kanpur ke thaane me 498a ke tahat 1/08/09 ko report kar di hai vivechana me hai. aapse nivedan hai ki aap uchit salah de aur agrim jamanat ke liye kya karana hoga. aap jaldi salah de ki aage koi pareshaani na ho.