Second marriage
dipak jain
(Querist) 31 May 2012
This query is : Resolved
Sir
mere dost ki marriage 3 years ho gaye hai. uski wife ki kidany mein problem hai. doctor ne kaha hai ki koi child nahi ho sakata hai and sex bhi nahi karana hai .mera dost kya karein .
Shonee Kapoor
(Expert) 01 June 2012
Agar ye samasya Shaadi ke baad develop hui hai to iska illaj karana chahiye/ ilaaj no ho sakne ki stithi mein bhi ye divorce ka koi ground nahi hai, na hi doosri shaadi ki jaa sakti hai.
Agar ye samasya, shaadi se pahle ki bhi hai, aur ladki khud is baat se anjaan thi to bhi uprokt stithi hi lagoo hogi.
Haan, agar ye stithi shaadi se pahle ki hai, aur ladki waalo ne dhokhe se shaadi ki hai to aap annulment ke liye jaa sakte hai. Is samasya ke pata chalne ke ek saal ke andar andar.
Regards,
Shonee Kapoor
harassed.by.498a@gmail.com
R.K Nanda
(Expert) 01 June 2012
Agree with expert Shonee Kapoor.
SAINATH DEVALLA
(Expert) 01 June 2012
Jain bete,
Appki vakalat aapki dostke trafse Thik nahi hai.Ye mamla aaj discuss karna koi faida nahi hai,kyoki uski patni shadi ke baad mareez bani hai.Mai ye kaha sakta hoon ki aap ke dost ko samjhaiye ki uske patniko thik se ilayaz karvaiye.Pati patni ka samband mahartnapoorn hota hai.Sex shadme ek bhag hai,magar shadi keval sex nahihai.Its better he gets her the best of the treatment and live happily.
J K Agrawal
(Expert) 01 June 2012
Aap Bachhe Nahi Ho rahe hai is liye dukhi hain or Hum bachhe ho rahe hai isliye dukhi hain. Dukhon ka koi paar nahi hai.
dipak jain
(Querist) 01 June 2012
sir
yeh problem full life time hai .aisi situation mein kya karana hai.