Stay order
gurdeep singh
(Querist) 05 May 2012
This query is : Resolved
sir,mere father jo ki 86 years old hai,unko 420 ke case me high court se medical ke ground per 20 din ke liey a/b mili thi.lekin unki tabiyat bahut jada kharab hone ke karan se unko time period me surrender nahi karwa sake.court ke order ke hisab se unko time period me surrender karkey reguler bail karwana tha?
ab kya ho sakta hai? please tell me?
kya hame kisi type ki help mil sakti hai.abhi father hospital me admit hai.
ajay sethi
(Expert) 05 May 2012
aaap apne vakil ke saath contact karen . hospital me admit hone ka aur bimar hone ka proof court ke samne rakkhne . court jaroor aapke pitaji ki madat karegi aur time extension mil jayega
Sudhir Kumar, Advocate
(Expert) 05 May 2012
sethi sahib theek kahatey hain. surrender nahi ho sake to kya court ko soochit bhee nahin karoge
Shonee Kapoor
(Expert) 06 May 2012
Court ko soochit kar ke aur samay ki maang kare.
Regards,
Shonee Kapoor
harassed.by.498a@gmail.com