Contempt or not
kashif
(Querist) 01 December 2012
This query is : Resolved
A civil suite(filed in sep 2011) is in progress in a trial court between two persons regarding ownrship of a plot of land . Court ne temporary injunction kiya hua hai ... sabhi pakshkaron ko "YathaStithi" banaye rakhne ke orders note sheet par likhe hue hain. TI har date par extend hota chala aa raha hai.
Vadi achanak ek deed register karata hai jisme wo ye kahta hai ki old age ki wajah se wo apni property (indicating the disputed land) ki dekhbhaal nahi kar sakta , isliye wo apne kisi relative Mr X ko is property ka Mukhtar-e-khaas bana raha hai aur use ye rights de raha ki wo jaise chahe uski property ka istemaal kare, even use sale bhi karne ka right wu us Mr X ko de deta hai. Sath hi ye bhi likhta hai ki agara koi muqadma us prperty par kisi bhi court me chal raha ko to usme Mr X uski taraf se pairvi kar sakta hai uski jagah sighn kar sakta hai.
Please tell....
1) Jab TI hone ki wajah se Vaadi hi ko disputed land bechne ka haq nahi hai to kya uski is tarah likhi hui deed legal hai?
2) is it contempt of court's order of "Yathastithi"
3) what shld respndnt do.... a) lodge an FIR against vadi , or b) file a suite for deed cancellation , or c) file contempt case
Raj Kumar Makkad
(Expert) 01 December 2012
1. Usne sirf likha hi to hai, becha to nhi to fir vo likha huwa illegal kaise ho gya? vo legal hai.
2. Nhi. koi apne sthan par kisi aur ko pairvi ke liye niyukat kar deve to ye nyayalye ke uprokat aadsh ka katayee ulanghan nhi hai
3. in teeno main se kuchh bhi nhi chalega kyunki koi galat kaam vadi ne kiya hi nhi hai.