LCI Learning
Master the Art of Contract Drafting & Corporate Legal Work with Adv Navodit Mehra. Register Now!

Share on Facebook

Share on Twitter

Share on LinkedIn

Share on Email

Share More

Son's property right

(Querist) 30 October 2012 This query is : Resolved 
sir, mera naam rajesh tanwar hai mai delhi mai rahta hu or ek news company mai job karta hu mere isi saal love marrige kari hai delhi mai meri pushtaine jameen hai or yaha mere mom papa hum do bhai marride or 5 sister marride hai yaha sub kuch mere papa k hato mai hai or wo mujhe ek rupees b karcha nahi dete hai or wo ab mujhe apni jameen se bedkhal kar rahe hai is halat mai mujhe kya karna hoga or son ka right kya hota hai pushteni jameen mai plz advise dijiyee thanxx
ajay sethi (Expert) 30 October 2012
aaap ka pushteni jameen me hak banta hai . aap vakil ko contact kariye aaapke pitaji aap ko bedkhal nahi kar sakhte hain . aap court me dawa kar sakhte ho
Raj Kumar Makkad (Expert) 30 October 2012
Rajesh! itni jaldi garmi na khawo. tumne love marriage ki hai apne priwar ki marji ke khilaf isliye vo sab gusse main hain aur aisa kadam uthane ki soch rhe hain jiska aapne jkar kiya magar samye pane par sabhi chijain theek ho jayengi. kyu apne hi pariwar aur pita ji ke khilaf courrts vagerah main jane ki soch rhe ho. 18 saal ka hone ke baad baap ke pane ki jimmedari khatam ho jati hai isliye khud kmao aur khao. rhi baat pushtaini jjmeen ki to uska batwara aapke pita g ke jeewan kal main nhi ho sakta aur unke jane ke baad chahe aapko bedakhal kiya ho ya nhi aapko apna hissa milega hi kyunki bedakhli pushtaini jmeen main kahin aade nhi aati.


You need to be the querist or approved LAWyersclub expert to take part in this query .


Click here to login now



Similar Resolved Queries :