Divorce
Rakesh Kumar Rasaniya
(Querist) 01 November 2012
This query is : Resolved
sir meri shaadi june 2010 me hui thi, jiske baad meri wife kewal do baar yani total 12 days mere saath rahi, hum kahi baar usko lene gaye par uske ghar wale uski study ka bahana banakar hame bewakuf banate rahe, or usko bhejne ke silsile me dono party's me vivad ho gaya. Unhone hamare upar four wheeler mangne ki afwah faila di.Last woh dec 2011 me mere saath kewal 5 din rahi, prantu abhi 4 din pehele uska phone aaya woh final karne ki baat kahne lagi, woh kisi bhi paper par signature karne ke liye taiyar hai but woh chahti hai ki uske ghar walo ko is baat ka pata nahi chale. Woh 100 Rs ke stamp paper par likhar dena chahti hai uska aur mera koi sambandh nahi hai, kya yeh sahi hai ? Kya me iske base par doosri shaadi kar sakta hu, kya mujhe mere ornaments jo uske paas hai jinki cost approx. 2 lacs hai mil jayenge. Kya woh stamp paper mere liye future me important ho sakta hai? Plz help me give me your valuable guidance in this matter.
ajay sethi
(Expert) 01 November 2012
woh 100 RS stamp paperka divorce ki koi value nahi . aap kao agar diovrce chaiye tau court me arzi de kar len . mutual consent divorce . dusri shaadi uske baad karna
V R SHROFF
(Expert) 01 November 2012
File MCD U/S 13B in Court.
Ek bar saddi kiya, to court se hi divorce lena.
Devajyoti Barman
(Expert) 01 November 2012
Yes without stamp of court no divorce is possible.
Raj Kumar Makkad
(Expert) 02 November 2012
aapkpa sirf court dwara kiya gya tlak hi kanuni ruup se shi hai antha aap kahin ka hi fans jayenge dusri shadi krake. achha ye rhega ki gehne wagerah to le lo apne aur kisi vkeel ko karke joint mutual petition dal do aur fir 6 mhine ki tareekh lgegi us din fir se aa jana to talk manjoor ho jayega. yahi treek hai aur koi nhi hai.