Need urgent information
ranjit
(Querist) 07 September 2013
This query is : Resolved
Good evening sir,
main aap ke saamney apni baat ko rakh raha
hoon pls help me,
petitioner jo ki meri legaly weded wife
hai weh job karti hai ek MNC Main,aur wahan
se usey as per detailed affidavit 17500/-
per month salary milti hai petitioner ne
apne kuch jaroori fact petition aur
relication jo ki affidavit ke saath file
kiye gaye thay main mention nahi kiye,like:
1, Apni movable/immovable property,
2, petitioner ne apni salary ki details
affidavit main file kartey samay kewal ek
account ko show kiya jabki uski salary ka
ek part ek doosrey account main bhi aati
hai jiske baarey main mujhey baad main pata
chala jab usne apna detailed affidavit file
kiya tab usney Apni movable/immovable
property ko declare kiya lekin apney ek
account ki jaankaari ko chupa liya interim
argument ke baad interim oredr main 5000/
per month petitioner ko dene ke interim
order pass hua
iske baad evidence by way of affidavit file
hue usme petitioner ne ek baar phir se
Apni movable/immovable property ko accept
nahi kiya aur saaf-saaf mention kiya ki
uskey pass kisi bhi tarah ki koi property
nahi hai aur salary ko bhi 15000/per month
bataya.
mera aap se ye sawaal hai ki mujhey kya
karna chahiye ki interim order set aside
ho sake aur kya order ko set aside karwaane
ke liye u/s127(2)Cr.p.c ki application same
court main file ki ja sakti hai.
urgent.
Sudhir Kumar, Advocate
(Expert) 07 September 2013
ya to hindi mein likho ya english mein.
itna lanma roam hindi sar dard jarti hai.