Civil matter
VAIBHAV JAIN
(Querist) 26 May 2012
This query is : Resolved
Sir,
Hamari ek neighbour hai jo widow hai and they are financially very weak also. Unhone apni beti ki shadi last year kari thi. lekin unke beti ke sasural wale na to ladki ko uske mammi ke ghar jane dete hai aur na hi uske mammi ko ladki se milne dete hai. aur ladki ko bahut marte hai. Ab ladki ke sasural walo ne jabardasti ladki se blank paper par signature karwa liye aur usme ek complaint type ki likh diya ki meri mammi mera ghar todna chahti hai aur wo nahi chahti ki mai khush rahu. something like that... aur court ke thru ek notice ladki ki mammi ko bhej diya hai..... ab wo aunti bahut dari hui hai.... now she wants to ask that kya unke (aunti ke) against me koi karyawahi ho sakti hai,... ya unke upar koi problem to nahi ayegi ... please reply
regards
vaibhav jain
Adv Archana Deshmukh
(Expert) 26 May 2012
Notice kya hai ye jane bina kuch nahi kehe sakte. Court ke thru jo notice mila hai use kisi acche vakil ko dikhaiye to vo bata sakenge ki kya ho sakta hai aur aage kya karna chahiye.
Nadeem Qureshi
(Expert) 26 May 2012
main bhi Archana Ji se Sahmat hoon
Rajeev Kumar
(Expert) 26 May 2012
Mai bhi experts se sahmat hu.
Vijyant Nigam (09807349001)
(Expert) 27 May 2012
its not CIVIL MATTER, its a VERY SERIOUS MATTER... consult a Lawyer... maa ko beti se nahi milne diya ja raha hai aur beti ko jabardasti uski marzi ke bina kaid kar k rakha gaya hai to Honorable High COurt me instantly ek Writ maa ki taraf se file kiya ja sakta hai jisme Honorable High Court beti ko court me hi bula kar usasay hi saari sachaai jaan lenge aur yuktiyukt aadesh paarit kar denge...
dhanyavaad.
R.K Nanda
(Expert) 27 May 2012
Agree with experts.
Shonee Kapoor
(Expert) 28 May 2012
Nothing left to be added.
Regards,
Shonee Kapoor
harassed.by.498a@gmail.com