LCI Learning
Master the Art of Contract Drafting & Corporate Legal Work with Adv Navodit Mehra. Register Now!

Share on Facebook

Share on Twitter

Share on LinkedIn

Share on Email

Share More

Advise for ownership

(Querist) 11 April 2013 This query is : Resolved 
Sir,mere dada ne Rs51/- silver coin me ek makkan rajasthan me 70 sal pahale kharida tha uski koi ragistry or documents nahi hai verbal soua hia tha un logo ne unke nam ka patta hamare dada ko dediya tha lekin aaj tak us haveli par ham log he rahte hai jin hone becha tha wo log ab nahi rahe hare dada wa father bhi nahi rahe.
abhi unka ek pota gaon aaya tha wah us makan ko bechne ki firak me tha hum ne police complain kiya wa civil suit dhakil kardiya hai court ne usko w jis ko bechna chahate the notice issu kardiya hai lekin uska address hamare pass nahi hai to usko saman sarve nahi hua ha aur jo khardina chata tha usne court me bola ki mane usko 100000/- bayana diya tha jub kabje ke liye gaya to unka kabja nahi tha nahi uske pass documents the.

ab jo bechna chata tha wo bhi margaya hai.
ab hum kya kare.
yah makan hum hamre nam se kase ragisterd karaye.
ajay sethi (Expert) 11 April 2013
aap ke paas koi kagaz nahi hai jo bataye ke aapke dadji ne makaan kahrida hai . koi agreement nahi banayi gayi .

aap woh makkan kannonan nahi bech sakhte . kyunki aap 70 saal se us makaan me reh rahe hai aapko koi nikal nahi sakhta bina kannon ka sahara lekar .
prabhakar singh (Expert) 11 April 2013
Pahle k jamane maen kharid aur bechi aise hi hoti thee.

gaon k kutumb (parivar register) me makan darj hoga aur usme ghar k longo ka naam hoga.

Bas pushtaini makan hai.sab theek hai.
Raj Kumar Makkad (Expert) 11 April 2013
Us jmane main jo patta aapke dada ji ke naam tha usko khoj kijiye. agar wahan aapke dada ji ka naam hai to aap suit for declaration file kijiye aur agar koi kagaj nhi hai to aapko koi aur case dalne ki jrurat nhi hai kyunki aapke paas advrerse possession ki bhut bdi plea hai. matlab aako koi kanuni karyewahi se bhi nhi nikal sakta kyunki aapka kabja kafi varshon ka ho gya hai. aap nishchint rhiye. aap kabja bech sakte hain mgar malkiyat aapke naam bina vikreta ke priwar ke registray kraye huwe nhi hogi magar nikal ve bhi nhi sakte aapko.
Sudhir Kumar, Advocate (Expert) 12 April 2013
Makkar sahib ke tarike ke ilava koi chara nazar nahin aa raha.

aaj aap har or se malik hain par bech nahin sakte.
mukesh (Querist) 13 April 2013
thik hai sir, hume bechna nahi hai lekin nagarpalika me hamara nam kase karaye. light bill wa water ka bill hamare nam se hai.lekin nagarpalika wa revenu dapartment me hamara nam nahi hai .

Raj Kumar Makkad (Expert) 13 April 2013
Vo naam ho bhi nhi payega kyunki karan aapko pehle hi btaye ja chuke hain.

Haa ek dusra treeka to hai ki jab nagarpalika wale survey karne aayain to aap unko apna naam btayeeye aur ve ho sakta hai ki enter kar dain.
prabhakar singh (Expert) 13 April 2013
makkad ji ki rai bilkul sahee hai


You need to be the querist or approved LAWyersclub expert to take part in this query .


Click here to login now



Similar Resolved Queries :