LCI Learning
Master the Art of Contract Drafting & Corporate Legal Work with Adv Navodit Mehra. Register Now!

Share on Facebook

Share on Twitter

Share on LinkedIn

Share on Email

Share More

Save myself from false dowry case

(Querist) 06 June 2013 This query is : Resolved 
Dear Sirs,
I am a govt teacher by profession.
meri shaadi june 2012 me ek mandir me love marriage ke rup me hui thi jo mere family ke against me thi.shaadi ke din se hi main use alag quarter me rakha. kuchh dinon ke baad meri patni mujhse jhagra karne lagi kyonki wo ek pvt. school me padhati thi jahan us school ke principal se uska galat sambandh tha.main jab duty jata to wo principal mere ghar me daily mere absence me patni ke saath samay bitata tha. principal unmarried tha.un dono ke bich daily phone pe baat hoti thi.jab main iska birodh karta to wo mujhe jhuta kes me phansane ki dhamki deti. ek din humdono ki jhagra hui to maine kaha ki chalo tum mere maa baap ke saath rahoge to wo mana kar di.main apne pita ke ghar me hi rahne laga.bahut samjhane ke baad vi jab wo nahi aayi to maine court me use lane ke liye section 9 me file kiya. lekin wo aane ke bajah ulta mujhpar aur mere maa bhai par 323, 406, 506, 498a case kar di.maine vi ek saptah me patni uski maa aur principal par section 323,341,497,386 court me file kiya jo thana me GR Case me convert ho gaya. police ke investigation ke baad S.P. tak ne is ghatna ko satya bataya aur principal ko arrest kar jail bhej diya. ab meri patni ne jo kes mujhpar kiya tha wah cognizance hone wala hai.
so please mujhe guide karen ki main revision, quashing ya anticipatory bail ke liye apply karun?
kya main divorce file kar dun? kya mujhe use maintenance bhi dena padega?

Looking for ur reply.

Thanks & regards.
Adv Archana Deshmukh (Expert) 07 June 2013
Consult a local lawyer. Go for AB. You have already filed a petition u/s. 9 HMA. If you want you can withdraw that and file for divorce on the ground of adultry if you have sufficient proofs.
ajay sethi (Expert) 07 June 2013
miantenance nahi dena padega . aapki biwi bhi teacher hai aur kamati hai .RCR with draw kardo aur divorce ke liye file karo . aapko evidence chaiye ke uske sambandh principal ke saath the . best hai divorce by mutual consent lo . 498A case me aap AB lo
Sudhir Kumar, Advocate (Expert) 07 June 2013
you have made good fence.
Raj Kumar Makkad (Expert) 07 June 2013
Aap sethi ji ke sujhav anusar kaam kijiye, saflta nishchit hai.
chinmay (Querist) 09 June 2013
Thanks Sir/ Madam,
mere local advocate ne mujhe divorce ke liye kaha lekin unhone Bail nahi lene ke liye kaha hai. unhone kaha ki pehle lower court me stay karaenge uske baad highcourt me quashing file karenge.
So, please suggest me what I have to do?
Looking for ur reply.

Thanks & regards.
Sudhir Kumar, Advocate (Expert) 09 June 2013
try reconciliation either for living together or leaving together
Raj Kumar Makkad (Expert) 09 June 2013
Aapke vkeel saab ki raye shi hai aur aapko unhi ke hisab se aage badhna chahiye.
chinmay (Querist) 11 June 2013
Thanks Sir/ Madam,
mere patni dwara kiya gaya false dowry case cognizance ho gaya hai jisme sirf mujhpar 498a charged hua hai. mere local advocate thoda confused lag rahe hain. please mujhe suggest karen ki main quashing file karun ya Anticipatory bail? agar quashing file karen to civil court me file hoga ya highcourt me? agla date next month diya hai.please sir mujhe guide karen.
Looking for ur reply as soon as
Thanks & Regards.
chinmay (Querist) 16 June 2013
mere patni dwara kiya gaya false dowry case cognizance ho gaya hai jisme sirf mujhpar 498a charged hua hai. mere local advocate thoda confused lag rahe hain. please mujhe suggest karen ki main quashing file karun ya Anticipatory bail? agar quashing file karen to civil court me file hoga ya highcourt me? agla date next month diya hai.please sir mujhe guide karen.
ajay sethi (Expert) 16 June 2013
quashing HC main karan padega . waise better hoga aap case ko fight karen . aap ka vakil ko pure case ki janakari hain . unhone pura case papers pada hoga . unjki raye par jayen


You need to be the querist or approved LAWyersclub expert to take part in this query .


Click here to login now



Similar Resolved Queries :