father self acquired property
Geetanjali
(Querist) 10 May 2016
This query is : Resolved
Hello mera naam geetanjali hai . mere father ne 2 shaadi karu hui hai main unki pehli biwi ki sab se choti beti hu . mere father ne meri mother ko bina divorce diye dusari shaadi kar li thi mere birth se phele mere father ne mujhe meri mother ko apne ghar se nikal diya tha 1998 mein. Main apni mother ke sath unke ghar main rehti aai hu mere father ke apne 2 ghar hai ek main woh apni dusari biwi or son ke sath rehte hai or ek rent pe diya hua hai . mere father ne jab se mujhe or meri mother ko apne ghar se nikala tha tab se aaj tak koi maintenance nahi diya or nahi koi care ki hai . meri mother ki death 2009 main ho gai thi mere father mujhe bilkul bhi help nahi karte nahi mujhe pasand karte hai . meri study ke liye bhi unhone kuch nahi kiya mujhe or meri mother ko job karke apne liye cheeje juttani paadi hai . meri mother ki death ke baad se mere father meri mother ke ghar se mujhe nikaal dena chahte hai unka bolna hai ki ye property unhone meri mother ko kharid ke di thi after her death ispe unka or meri elder sister ka haak hai jiski shaadi 2005 main mere father ne kar di . I ask so many lawyer they said usmain mera bhi right hai but mujhe property ka half share meri sister ko dena hoga but mere pass money nahi hai or ager main ghar ko sale kar deti hu to rehne ko koi apna ghar bhi nahi rahe ga. Mere father mujhe apni khud ki property main se kuch bhi nahi dena chahte because he said ki woh unki self acquired property hai . mujhe nahi pata ki woh self acquired property hai ya nahi mujhe ye pata laggane ke liye kya karna hoga or ager woh self acquired property nahi hai to kya main claim kar sakti hu. Pls help me
Kumar Doab
(Expert) 11 May 2016
Why to repeat:
http://www.lawyersclubindia.com/experts/father-self-acquired-property-598071.asp#.VzLnBtJ97IV