Grand father propert
pawan sharma
(Querist) 16 January 2015
This query is : Resolved
Hello Sir/Madam,
Mein Jaipur se hoon. Mere dada ki property Alwar mein hain. Jisme 10 dukane (shops) uske uper makan (house) hain us se 100 mtr k distance per ek sabji mandi ka godam hain.
Mere pita ji mentally disturbed hain. Meri 2 sister hain jinka mujhse or meri mother se pichle 25 sallo se koi naata nhi rha.
Meri date of birth 1988 hain meri mata or pita ji ka divorce 1993 mein hua tha.
sir ab meine poori property per stay laga rkha hain..
Mere father ki 3 sister or hain jinke bache bhi hain...
Badi wali siser (bhua) expire ho gyi hain.
Kya aap mujhe bta skte hain ki mera mere dada ki property mein kya hissa milega.
please explain in details sir.
Thanks
ajay sethi
(Expert) 16 January 2015
1) aapke dada ki property m e aapka koi haak nahi hai .
2) aapke dada , dadi ke death ke baad aapke pitaji ka 1/4th hisa hai property par
3) aapki 3 bua ka bhi 1/4th hisa hai property par
pawan sharma
(Querist) 16 January 2015
Thanks Sir....
1.Iska matlab mere pitaji jo ki mentally disturb hain to unki property ka hissa kise jaega...
2. Abhi property per stay laga hua hain but poori property (shops and godown) ka rent approx 40000 kiske paas jana chaiye.. abhi ye poora hissa meri sisters le rhi hain or yehi reason hain ki vo property ka samjohta nhi kar rhi kynki unhe to free k 40000 rs mil rhe hain....
thanks sir
ajay sethi
(Expert) 16 January 2015
jo rent aata hai aapke father ko Rs 10,000 milna chaiye . kisne lgaya hai stay?
aapki father ki medical reports kya kehti hain ?
pawan sharma
(Querist) 16 January 2015
Sir,
meri 3 bhua thi jo phle mujhe ghar ka varis nhi manti thi.. Stay meine lagaya hain... But ab unhe samjh aa gya hain ki mera hissa mujhe milega.. to unhone mujhe accept kar liya hain...
Abhi poora rent meri sister le rhi hain....
Mere father totally mentally disturb hain or ye court mein bhi hain unka case k ly bhi advocate meine kiya hain meine hi fees bhari hain...
AB mein ye chahta hoon ki mein court mein ek application lagau jisme mein ye bolu ki jo rent aa rha hain usme se 1 hissa (10000) rs mere pita ji ko diya jaye kynki meri sister unke sath rhti hain to unke daily usage k ly. Baki 30000 .. kynki abhi court ne koi decision nhi diya ki hisse kitne hone... to baki k 30000 court mein deposit ho jis time court decision lega us time ye amount bhi usi acc bat jaye...
Abhi 40000 sisters ko mil rhe hain to unhe koi issues nhi hain but jab source of income unke paas kam hoga tab vo raziname k ly ready hongi...
please suggest sir.
ajay sethi
(Expert) 17 January 2015
aap aapne vakil ko contact karen . aaap ke pitaji ka hisa lene ke liye
Rajendra K Goyal
(Expert) 18 January 2015
Consult local lawyer at Alwar and discuss with him in detail.
T. Kalaiselvan, Advocate
(Expert) 20 January 2015
Neither you nor your mother or other siblings have any right for a share in your grandfathers property during the life time of your father. Your grandfathers intestate properties will devolve only on his legal heirs and not beyond that.