Notary agreement for land but owner died
Sourabh Soni
(Querist) 28 September 2022
This query is : Resolved
Sir meri mother me jamin liya notary agreement stamp paper 50rs kiya aur ghar banwa liya 2011 me Jinse jamin liya wo mar gye 2013 me unki wife ke naam jamin hua 2015 ya 2016 me
Unki wife registry karne se inkar karne lagi agreement ke hisab se hame aur 1lakh dena tha but unka demand 3 lakh tha hamare pas 3 lakh tha nahi uss samay to unhone tehsil court me case file kiya aur jit gai hamre side se koi pes nai hua tha uss samay par, But sir ek to jada pesa demand kar ri thi aur agar ham unka demand maan bhi lete to registry nai ho para tha chhattisgarh state government ne unko schedule caste maan liya aur notification jari kar diya unke bhuiya caste ki jamin hamare naam karne se inkar kar diye registrar office me
https://prsindia.org/billtrack/the-constitution-scheduled-castes-and-scheduled-tribes-orders-amendment-bill-2016 ye bill pass nahi hua phir bhi state ne unko schedule tribe ke rights de diye, ham sdm court me appeal kiye waha bhi har gye case chala 3 years ab commissioner court me case hai aur ek bad news ye milra ki cabinet ne approval de diya hai schedule tribe me add karne ke liye 15 September ko
Please help kare sir abhi unka demand hai 5 lakh ka ham dene ko tayar hai par registry kese hoga hamare naam pe ham general me ate hai aur ghar bana ke reh re garib hai aur kahi jamin bhi nai hai
kavksatyanarayana
(Expert) 28 September 2022
It has already been replied a few minutes back. Why repeated in another way?
Sourabh Soni
(Querist) 28 September 2022
How to delete its not translated in english
Dr J C Vashista
(Expert) 29 September 2022
Post your facts / query in English but do not repeat.