About rent
Manoj sisodiya
(Querist) 06 January 2016
This query is : Resolved
Dear sir/madam mera naam manoj sisodiya from indore mp. Mere father mpeb mein govt employee the jo ki expire ho gaye hai. Mein married hoon aur mera chota bhai bhi hai wo bhi married hai. Abhi mein aur mera bhai joint mein rehte hai aur meri mother bhi saath mein rehti hai. Meri mother mpeb mein pensioner hai aur unko 10000 per month pension aati hai. Mera ghar ground + 2 floor ka hai jisme ground par shops hai jinka rent 16000 rs aata hai. Mein aur mera bhai aur mother first floor par rehte hai aur second floor par 2 flat hai jinka rent 11000 rs per month aata hai. Meri bhai ki salary 5000 per month hai aur uski wife aur 1 ladka aur 1 ladki hai. Meri salary 18000 hai aur meri wife aur 1 beta hai. Meri mother chahti hai ki mein 2nd floor par back wale flat par rehne chala jaoon aur meri mother mere bhai ke saath 1st floor par rehna chahti hai kyunki wo usko favour karti hai. Mene meri mother ko bola ki shops ka rent mere aur mere bhai mein equally divide kar do aur jo bhi bhai 2nd floor par rahega wo upar ke 1flat ka rent + shops ka half rent rakhega. Kyunki har bhai floorwise rahega. Lekin meri mother bol rahi hai ki tujhe rent nahi milega aur tu upar jaakar back wale flat par rahega. Aur poora rent mother rakhna chahti hai jo ki mere chote bhai ke saath rehna chahti hai. Meri mother ka kehna hai ki poora rent wo rakhegi aur chote bhai jo ki sirf 5000 mahina kamata hai uspar kharch karegi. Dear sir mujhe bataye ki kya mujhe half rent nahi milna chahiye. Agar mein jobless ho gaya to fir mein kya karunga. Agar aisa hi raha to mere bhai ko kamane ki zaroorat hi nahi rahegi kyunki poora rent uske aur mother ke pass rahega. Mujhe half rent ke liye kya karna chahiye.
P. Venu
(Expert) 06 January 2016
The answer depends upon the ownership of the flat - whether it belongs to your mother or belonged to your late father.
Rajendra K Goyal
(Expert) 07 January 2016
In whose name the property is?
Legal steps would not be in the benefit of all, try to have mutual family settlement with the help of friends and relatives.
If the property is in the name of your mother she can ask you to leave it.
H.M.Patnaik
(Expert) 07 January 2016
Please answer the query raised by Mr. Venu for a suitable reply.
Sudhir Kumar, Advocate
(Expert) 08 January 2016
property aye ya na aye, rishta toota hei joki kisi bhee property se kimtee hopta hai.
is chote issue ke liye maa ko kachahri bulaoge?
Sudhir Kumar, Advocate
(Expert) 08 January 2016
TUM DO NO BHAI AGAR KISI LAYAK HOTE TO DUKANE KIRAYE PAR NAHI HOTEE. KHUT VYAPAR KARTE NA KI 18000/5000 PAR NAUKRI N KARTE.
YAH BHEE CLEAR HAI KI AAP DONO AUR APKI PATNIYAN EK SATH NAHI RAH SAKTE TABHEE MAA KO AISA KARNA PAD RAHA HAI.
Meri mother chahti hai ki mein 2nd floor par back wale flat par rehne chala jaoon aur meri mother mere bhai ke saath 1st floor par rehna chahti hai kyunki wo usko favour karti hai.
TO KYA GUNAH KARTEE HAI.
KYA ITNEE SE BAAT KA MAA KO DAND DOGE KI USKO KACHENRI LE JAOGEY BHALE HE ISKE LIYE 18000 TANKHA MEI SE PET KAT KAR VAKILON KE GALLE BHARNE PADH JAYEN
Mene meri mother ko bola ki shops ka rent mere aur mere bhai mein equally divide kar do aur jo bhi bhai 2nd floor par rahega wo upar ke 1flat ka rent + shops ka half rent rakhega.
NAHIN MANTEE TO COURT JOGE KYA.
Kyunki har bhai floorwise rahega. Lekin meri mother bol rahi hai ki tujhe rent nahi milega aur tu upar jaakar back wale flat par rahega. Aur poora rent mother rakhna chahti hai jo ki mere chote bhai ke saath rehna chahti hai. Meri mother ka kehna hai ki poora rent wo rakhegi aur chote bhai jo ki sirf 5000 mahina kamata hai uspar kharch karegi.
Dear sir mujhe bataye ki kya mujhe half rent nahi milna chahiye. Agar mein jobless ho gaya to fir mein kya karunga.
ALLH RIJK NA DENA LAKADIYAN LANEE PADENGEE.
PAHLE JOBLESS HO JAO PHIR MAA LO BLACKMAIL KARNA
LOG DUA KARTE HAIN KI MAIN JYADA SE JYADA KAMAOON AUR KISI KI OR DEKHNA NA PADHE PAR AP MAHASHAY ULTA HE SOCH RAHE HAIN.
Agar aisa hi raha to mere bhai ko kamane ki zaroorat hi nahi rahegi kyunki poora rent uske aur mother ke pass rahega. Mujhe half rent ke liye kya karna chahiy
JO BHEE AISA MAHAUL KARTA HEI KI MAA BAAP USKE PAS NA RAHNA CHAHEIN VAH AISH KARTA HAI. AP BHEE KAROGE.
JO BHEE MAA BAAP KO BUDHAPE MEIN RAKHTA HAI VOH ISKA DAND PATA HEI JOKI AP APNE BHAEEE KO DEKAR RAHOGE.
Manoj sisodiya
(Querist) 09 January 2016
Sudhir ji i m very sorry to tell u this ki aap meri baat ko samajh nahi paye aur jaldbaazi mein message type kar diya. Actually baat mere haq ki hai aap mere likhe hue message ko dubara se read karein to aap samajh paayenge ki mera bhai lazy hai aur zyada work nahi karna chahta aur mere hisse ka kiraya bhi khana chahta hai jis se usko mehnat na karna pade. Isliye wo meri mother ko force kar raha hai ki tu poore kiraye ke liye mujh par pressure create kar