Inter caste marriage
shreya mishra
(Querist) 08 March 2013
This query is : Resolved
sir, maine 2012 june 8 me dusre caste me shadi ki hai. waise to pehle pahal hamari family wale raji nahin the par 2 saal wait kar hmne unhe manaya aur arya samaj mandir me shadi ki. par meri family wale aisi society me rhte h jahan ye sab gunaah h. waise to ghar me sab khus hain par mere parents ko society se alag kar diya gya h. kisi v samuhik function me na to unhe bulaya ja rha h aur na koi samman kiya ja rha h. samajik prani hone tatha society me sabke beech rhne ke karan unse ye sab saha nhi ja rha. caste k kch vishist log bolte h k mere papa ko sabke samne haath jod mafi mangni padegi. papa ne yah v kiya, taki sab thk ho jaye par we log keh rhe h k beti ka kriya karm karna hoga. kavi 6 mahine kavi 1saal se caste se barkhast karne ki baat khte h. meri dadi hain unke liye aur chhota bhai h uske liye papa ko caste me mil jana jaruri h. nahin to bhai ki shadi me problem hogi. par caste walon ki is tarah ke torture se sab dukhhi hain. main to hamesha apne apko hi doshi maan rhi hun. par main papa ki madad karna chahti hun. kaise kya karun plz bataiye.. virodh karne walon me jo sakhs hain wo rajya k rastrapati award parpt vyakti hain. agar sammanit vyakti hi aisa karein to kaya hoga. aap kripya madad kijiya
Raj Kumar Makkad
(Expert) 13 March 2013
main Haryana se hun jahan aisi kafi sari ghtnayain huee hain magar high court ne aise mamlo main kafi sakht rookh dikhaya hai aur aise sab panchayti logon, jinhone aise bhishkar ke fatwe jari kiye, unke khilaf mukadme bnakar unko sakhat sjayain di hain to ab aisi panchaytain band ho gyee hain aur ise bhishkar aur jati bahar bach gye hain.
aapko bhi ye karna hoga aur vo rashtarpti wardee ka to padak hi cheen jayega.