Property Matter

Querist :
Anonymous
(Querist) 18 June 2011
This query is : Resolved
Dear Sir,
Am not comfort more in english, so am tell u all things in hindi please rply.
Mere father 3 bhai the, property k naam pe sirf ek ghar hai, i think 1 karod Rs. ka hoga, hamari property mere dadaji k naamse chal rahi thi, wo kafi pahle expire ho chuke hai, unhone koi vasiyat nahi likhi thi, jab property 3 bhaiyo k naam se karne k processor chal raha tha to mere father to 2nd no. k hai wo expire ho gaye abhi Dec mai, mai mere father ki 1 ladki hun aur mere mummy hai, mere father ne 1 dusri aurat rakhi hui thi uske 4 bachhe hai, mere father journalist the, unki khud ki banayi hui koi property nahi hai.
1) Kya wo 2nd aurat property mai hissa mang sakti hai?
2) kya uske bachho ka koi haq hai us property mai?
3) Kya mai apni mummy k naam pe property kara sakti hun, papa k jagah?
4) wo processor pura hua tha ya nahi uski jankari mughe kaha se milegi?
5)hamare family membor bhi hamare suppory mai nahi hai, wo kahte hai us 2nd aurat ko hissa bhi milna chahiye kya ye sahi hai?
6) mere mom agar nahi rahti hai to uske baad property kiski hogi? mai ladki hun mughe mil payegi ki nahi?
Please rply all this question, becoz mughe mere family members ka muh band karna hai, jo always meri mom ko mentally pareshan karte rahte hai...Please rply ASAP
Twinkle Jaiswal

Guest
(Expert) 18 June 2011
1. no that lady can not claim in the property of your father.
2. Yes those children have the right in the property.
3.your mother and you are the owners of your fathers property in joint with the other children.
4. you can find that in the municipal committee office.
5.the second lady can not claim but the children can claim.
6.yes you will be owner of the property after her death.

Querist :
Anonymous
(Querist) 18 June 2011
But sir maine pahle bhi pucha tha mughe rply diya gaya tha..unke bachho k koi haq nahi hai kyunki granfather ki property hai...agar mere father ki propertyhoti to to 2nd aurat k bachho k haq hota...
Please see below answer...
Expert : Kirti Kar Tripathi
Posted On
26 December 2010 I do not agree with Mr. Barman to the extent of his advice that children of second wife shall be entitled for share in the ancestral property. From the query, it is apparent that second marriage is illegal as only first wife is legally married. It is not the self acquired property of father but ancestral. Since the children from second marriage will not be treated as legitimate children of father under the law and thus they are not coparceners as such they are not entitle share in ancestral property. The first wife and her son only will have share in the said home, which belongs to the grandfather
R.Ramachandran
(Expert) 18 June 2011
Kirti Karji ki uttar sahi bil qul teek hai.
Kaanon ke thaheth apne matha pitha ki kud ka sampathi se hi, gair kanoon bachhon ke liya, hissa mil saktha hai. Agar matha pitha ke apne koi sampathi nahin tho un bachon ko koi sampathi mile ga nahin. Un bachhon aur koi poorvajon ki sampathi se doi hak maang nahin kar sakthe. [haal hi me ucchatham nyayalay ne ek naya soch rak ra ha hai ki, un bachhon ki poorvajon ki sampathi me bhi hissa milna chahiye. Magar abhi thak is mamle mei koi anthim faisale nahin sunaya gaya hai.]
App yeh bi bathaye ki kya aap di Dadhaji abhi bi jivith hain ya nahin? Agar jivith hain tho un se bol ke apne sampathi ke hissa jo un ke gujare hua ladke (yani aap ki pithaji) ko dena chathe hain, voh hisse ko aap ke naam per wasiyath karva dein. Aisa wasiyath karne se, koi bhi kathra nahin rahegi ki aur koi hissa mangle ga.
Agar jivith nahin tho fir aap ko batha na padega ki unki mrithu kab hui? Aap ki pithaji ki mrithu kab hui? Kya aap ke Dadhaji ke aur bhi bache (aap ki pithaji ki alava) hain? Tho unka burea dhijiye.
Jis sampathi ki aap jikar kar rahe hai, aaj woh sampathi kin ke naam per hai? Kya aap ke Dadhaji ke baadh batwara hui ya nahin?

Querist :
Anonymous
(Querist) 18 June 2011
Sir mere dada ji ki death 15 saal pahle aur dadi ki death 8 saal pahle ho chuki hai, papa ki death abhi Dec. mai hui hai..aur dada ji ne batwara nahi kiya tha...aur mere papa ji log 3 bhai the..abhi naam transfer karane ka processor chal raha tha, us beach hi mere papa ki death ho gayi...abhi bhi sampatti dada ji k naam par hi hai...batwara nahi hua hai.

Guest
(Expert) 19 June 2011
yes the answer of the expert is right. dusre bacche apke father ki bahayi hui property mese hissa le sakte hain parantu is case me property dada se ayi hai isiliya nahin le sakte. agar apke dada ji ne batwara nahin kiya hai to aap aur apki maa batware ke liye case kar sakte hain do bhai jo apk pita ji ke hain unke khilaf ki hamen hamara barabar ka hissa diya jaye app kisi civil ke advocate se mile ve apko sab bata denge
prabhakar singh
(Expert) 19 June 2011
1) Kya wo 2nd aurat property mai hissa mang sakti hai? ANS. NAHEE
2) kya uske bachho ka koi haq hai us property mai? HAAN
3) Kya mai apni mummy k naam pe property kara sakti hun, papa k jagah? HAAN,AUR APNA BHEE,
4) wo processor pura hua tha ya nahi uski jankari mughe kaha se milegi? NAGARPALIKA YA US SAAL KA REGISTRY DAFTAR KA REGISTER MUYANA KARAYEN.
5)hamare family membor bhi hamare suppory mai nahi hai, wo kahte hai us 2nd aurat ko hissa bhi milna chahiye kya ye sahi hai? DOOSARI AURAT KO NAHI PAR USES PAIDA BACHOO KA KANONAN HISSA BANEGA.
6) mere mom agar nahi rahti hai to uske baad property kiski hogi? mai ladki hun mughe mil payegi ki nahi?
HANHAN MAA KE MARNE PAR WO HISSA SIRF AAP KO HI MILEGA.
R.Ramachandran
(Expert) 19 June 2011
Dadaji and dadiji ke mrithyu ke baad sampathi har ek ko, (yani aap ke pithaji aur do chachaji ko) 1/3 hissa milega.
1/3 hissa jo aap ke pithaji ko milega woh aap ke pithaji ke apni sampathi mane jayega. Is wajah se, sampathi me aap ki ma, aap, aur jo char bache (doosri aurat ki) hakdar banenge. mathlab aap sabko apki pithaji ke 1/3 hisse se, 1/6th hissa milega.

Querist :
Anonymous
(Querist) 19 June 2011
But sir mere father ne apni puri zindgi ki kamai un 4 bachho aur dusri aurat par kharch kar di...apne bachhe ko engineer banaya..aur meri mummy ko ma baap ki seva karne k liye chhod diya..maine kabhi baap k pyar nahi jana, na hi ek kapda jana, na hi unhone kabhi hume kuch kharcha pani diya..meri mummy ne private naukri karke mughe padhaya..to 25 saal ki jo kamai ki us insaan ne us ka kaya hoga...aaj jab hisse ki baat aayegai to wo barabar k hissedar honge aisa kyun? kya mai iske liye koi appeal kar sakte hun?
R.Ramachandran
(Expert) 19 June 2011
jo bhi apni man ki bathein aap batha rahein hai, yeh sab adalath ki bahar ki baath hai. Adalath, sirf, kanoon jantha hai aur kanoon ki thaheth jo faisla karna hai wahi adalath karega. Kanoon ki basha ke alava, anya bathon (jaisa ki jo bathein aap yahan per bathala the hain) Adalath ke liye koi mathlab hi nahin and adalat na un bathon ka sunega, ya tippani karega. Agar in bathein per dhava karenge tho bhi kis ke kilaf karenge - karna hai tho aap ke pithaji ke kilaf karna hoga - magar aap ke pithaji tho ab nahin hai. isliye, aap is thareke ke bathon per viswas math rakhiye. yeh bathein sirf apni man ki dhuk ko bahar karne ke liya kaam aa saktha hai, doosron ke hamdardi kama ne ke kaam aa saktha hai, magar uske age nahin. yeh bathein aap ke liye jyada hissa pane ke liya, ya un chaar bachhon ki hissa mana karne keliya kaam jaroon nahin aayega.