Biwi aur Uski maa baar baar ye kehti h k
1. Aapne Papa ki Property mein se Mere hisse ki Property mujhe de do, Sasur ki Apni Property pe Bahu ya uski Maa ka koi b hak Jatana ya hissa manga kiya sahi hai?
2. Agr Choti Bahu k Ghar mein koi Shaadi h aur vo uske liye apne Sasur se kuch Paise leti h to Badi Bahu b paison ki demand karti h ki vo kharcha kar rahi h to mujhe b chahiye jabki uske ghr mein koi shaadi nhi ye kitna sahi hai??
3. Pati ne Patni k Maa Baap ko sab bata kar bhut baar Unse Baith k Samasya ko suljhane ki koshish karne ko kha lekin vo hamesha Chup rehte h aur bolte h apne aap dekho??
4. Patni ka hak bas Pati ki Kamai aur Property tak Simit hai ya Sasur k Paise, Property aur Mari Hui Saas ki Jewellery pe b koi hak hai
5. Agr divorce hota to 4 saal ki Daughter ki Custody Father ko mil sakti hai??
Iske Regarding kiya koi Legal action ya Notice diya jaa sakta hai?